Sunday, January 16, 2011

Archives

Cleaning up a computer disk these days is almost like cleaning up closets during my childhood. One always found lost money, treasure, notes, gifts, collections and for a brief moment one was taken back in time. I realized I write a lot, I just don't post enough. I think the best way to tame my mind is to get it to write. So on my disk I found fragments of my life all scattered in text files. Just picking up a few and posting them here. Hope you are all having a lovely year. I need to get back and write to the real world I know!

Connections
Are my words making any sense?
Do you just sit back read and smirk?
Or cast that look like you knew it all
Or do you just wonder if u can live with this for now?
Or maybe you just want to close doors,You just may not know how and when
Or maybe this is a nice muse that gets u past your day
or is there something else I cant see and you cant see
Not right now and maybe we will together?

Tanhaai
Raat ki chaadar odhe hue. Tanhai ki jhalak dikhaai di.
Kkarvat badlee tho tumhaari saans chu si gayee...
Aur tanhaal ki numaishi dekh chand chip sa gaya!

Izaazat
Izaazat chahti hun khud se sumjhaata karne ki.
khud se dosti karne ki.
waqt ke saath aur umeedon se pare chalne ki.
shaayad talaash ko khatm karne ki.
Yun toh saath rahungee sada, 
Is talaash mai banti hui paaoon kabhee tho us pal ki izaazat chahtee hun.
Anjaane mai khamosh ho kuch bolun jo tum sunna na chaho...tho us gustaakh ki izaazat chahti hun.
Is izazat maangne ki khata karne ki izazat chahti hun..


Found two poems from the movie Udaan which I loved:

Udaan
Jo lehron se aage nazar dekh paati toh tum jaan lete main kya sochta hoon,
Wo aawaz tumko bhi jo bhed jaati toh tum jaan lete main kya sochta hoon.
Zid ka tumhare jo parda sarakta toh khidkiyon se aage bhi tum dekh paate,
Aankhon se aadaton ki jo palken hatate toh tum jaan lete main kya sochta hoon.

Meri tarah khud par hota zara bharosa toh kuchh door tum bhi saath-saath aate,
Rang meri aankhon ka baant-te zara sa toh kuchh door tum bhi saath-saath aate,
Nasha aasmaan ka jo choomta tumhe bhi, hasraten tumhari naya janm paatin,
Khud doosre janam mein meri udaan chhoone kuchh door tum bhi saath-saath aate.

Joote
Chhoti-chhoti chhitrayi yaadein
Bichhi hui hain lamhon ki lawn par
Nange pair unpar chalte-chalte
Itni door chale aaye
Ki ab bhool gaye hain ki
Joote kahan utaare the.

Aedi komal thi, jab aaye the.
Thodi si naazuk hai abhi bhi.
Aur nazuk hi rahegi
In khatti-meethi yaadon ki shararat
Jab tak inhe gudgudati rahe.
Sach, bhool gaye hain
Ki joote kahan utaare the.
Par lagta hai,
Ab unki zaroorat nahin.

Thats it from the treasure of archives for now.

No comments: